Sad Hindi Shayri
Sab log rah guzar nahi hote,
Sath chalne wale hamsafar nahi hote,
Kitna dard hota haio un logo ke dilo main,
Pucho un logo se jinke apne bhi apne nahi hote….
Chor di hum ne duniya bas teri khushi ke liye..
Jee sakenge na ab hum kisi ke liye..
Tera milna bicherna ek khwab sa tha..
Teri kasam traste rahe bas ek hansi ke liye..
Teri judai se badh kar kya gham hoga..
Zakham kafi hain yeh hi meri zindgi ke liye.
Alfaaz To bahut Hai Mere dard Bayaan Karne K Liye..
Mere Dost
Par jo Meri Khaamoshi Ko nahi Samajh saka..
Wo Mere Alfaaz Ko Kya Samjhega..
Kitne Ghuroor Me Hai Wo,
Mujhe Tanha Chod Kar..
*
*
Ae Dost
*
*
Kyun Ki Use Maloom Hai,
Mere Paas Koi Aur Nahi Hai Us K Siwa..
Is Daur Me Ki Thi ..
Jisse Wafao Ki Umeedein ..
Aakar Usi K Haath Ka ..
Patthar lga mujhe ..
Bade Ajeeb hai ye zindgi ke raste,
Anjane mod par kuch log apne ban jate hai,
Milne ki khushi de ya na de,
Bichadne ka gam zaroor de jate hai.
Pattharon Se Pyar Kiya Naadan The Hum,
Galti Hui Kyu Ke Insaan The Hum,
Aaj Jinhe Nazre Milane Me Taklif Hoti Hai,
Kabhi Usi Shaks Ki Jaan The Hum..
Kitna alag hai unki fitrat mein ..
Andaaz-E-Mohobbat”
Roz ek jakham de ker kahte hai ..
Apna khayal rakhna.
Poochha Na Zindagi Mein,
Kisi Ne Bhi Dil Ka Haal,
Ab Shahar Bhar Mein Zikrr,
Meri Khudkushi Ka Hai.
Aata He Nahi..
Us Nadan K Bagair Jeena,
Kash Us Shakhs Ne..
Marna Bhi Sikha Deya Hota.
Humein izhaar karna nahi aaya,
Unhe pyaar karna nahi aaya,
Hum bas dekhte hi reh gaye,
Aur waqt ko thamna nahi aaya,
Woh chalte chalte itne door chale gaye,
Humein rokna bhi nahi aaya.
Kaise hai ye duniya hum samjh nahi paaye,
Bhikare huye sapne hum jod nahi paaye,
Sayad honge hum hi itne Bure,
Jo kisi ke dil main hum utar nahi paaye.
Gum ka ehsaas unko hone na diya,
Hum roye unko rone na diya,
Ab use khush rakhna Ae khuda,
Jisne chain se hamko sone na diya.
Dil ki duniya khali hai tab se jab se tum gaye ho,
Sab aane se darte hain yahan jab se tum gaye ho,
Sheeshe mein dekhta hoon chehra apna to ro deta hoon,
Kissi ne na poonche aansoo …