shayarisms4lovers.in- New Hindi Shayari on Love, Sad, Funny, Friendship, Bewafai, Dard, GoodMorning, GoodNight, Judai, Whatsapp Status in Hindi

जो सुनाई अंजुमन में शब-ऐ-ग़म की आपबीती

पहली नज़र
 

उस से कहो इक बार और देख कर आज़ाद कर दे मुझे
के मैं आज भी उस की पहली नज़र की क़ैद में हूँ

Pehli Nazar

Us se kaho ik baar aur dekh kar AAZAAD kar de mujhe
Ke main aaj bhi us ki pehli nazar ki qaid main hoon..


तेरी बेवफ़ाइयों पर
 

मुझे अजमाने वाले मुझे अजमा के रोये
मेरी दस्ताने हसरत सुना सुना के रोये

तेरी बेवफ़ाइयों पर , तेरी कज आदइयों पर
कभी सर छुपा के रोये , कभी मुँह छुपा के रोये

जो सुनाई अंजुमन में शब -ऐ -ग़म की आपबीती
कभी रो के मुस्कराए , कभी मुस्करा के रोये!!

मैं हूँ बे -वतन मुसाफिर , मेरा नाम बेकसी है
मेरा कोई भी नहीं है जो गले लगा के रोये

मेरे पास से गुज़र कर मेरा हाल तक न पुछा
मैं यह कैसे मान जाऊं के वो दूर जा के रोये

Teri Bewafaiyon Par
 

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azmaa ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabi Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-ae-Gham Ki Apbiti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hoon Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeah Kaise Maan Jaun Ke Wo Door Ja KE Roye…


ज़िंदगी क्या है

ज़िंदगी कुछ भी नहीं फिर भी जीये जाते हैं
तुझपे ऐ वक़्त एहसान किये जाते हैं .

कुछ तो हालात ने मुजरिम हमें ठहराया है
और कुछ आप भी इलज़ाम दिए जाते हैं .

छीन ली वक़्त ने उल्फ़त के ग़मों की दौलत
खाली दामन है वही साथ लिए जाते हैं .

ज़िंदगी क्या है कोई जाने कफ़न है ‘फ़क़ीर’
उम्र के हाथों हम जिसको सिये जाते हैं .

Zindgi kya hai
 

Zindgi kuch bhi nahin phir bhi jiye jaate hain
Tujhpe ae waqt ehsaan kiye jaate hain.

Kuch to halaat ne mujrim hamain thehraya hai
Auar kuch aap bhi ilzaam diye jaate hain.

Cheen li waqt ne ulfet ke gamon ki daulet
Khaali daaman hai wahi saath liye jaate hain.

Zindgi kya hai koi jaane kafan hai ‘Faaqir’
Umra ke haathon hum jisko siye jaaate hain.

Leave a Reply

%d bloggers like this: