कितनी पी कैसे कटी रात मुझे होश नहीं
रात के साथ गयी बात मुझे होश नहीं
मुझ को यह भी नहीं मालुम की जाना है कहाँ
थाम ले कोई मेरा हाथ मुझे होश नहीं
आंसुओं और शराबों में गुज़र है अब तो
मैंने कब देखी थी बरसात मुझे होश नहीं
जाने क्या टूटा है पैमाना की दिल है मेरा
बिखरे बिखरे हैं ख्यालात मुझे होश नहीं
kitni pee kaise kati raat mujhe hosh nahin
raat ke saath gayi baat mujhe hosh nahin
mujh ko yeh bhi nahin maalum ki janaa hai kahaan
tham le koi mera hath mujhe hosh nahin
aansuoon aur sharaabon mein guzar hai ab to
mainne kab dekhi thi barasaat mujhe hosh nahin
jaane kyaa Tuutaa hai paimaanaa ki dil hai mera
bikhare bikhare hain Khayaalaat mujhe hosh nahin
हो गयी रूखसत घटा बारिश के बाद
एक दिया जलता रहा बारिश के बाद
मेरे बहते हुए आंसुओ को देख कर
रो पड़ी ठंडी हवा बारिश के बाद
मेरी तन्हाई का दामन थाम कर
कुछ उदासी ने कहा बारिश के बाद
याद तेरी ओढ़ कर में सो गयी
ख्वाबों का दर खुल गया बारिश के बाद
चाँद देख कर बादलों की क़ैद में
एक सितारा रो दिया बारिश के बाद
अपने घर की हर कच्ची दीवार पर
नाम तेरा लिख दिया हमने बारिश के बाद
Ho gayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad
Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad
Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad
Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad
Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad
Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya humne baarish ke baad
चाह के भी कभी न तुमको भुला पाएंगे हम
करते हैं वादा यह निभा पाएंगे हम
खुद को फना कर देंगे इस जहाँ से हम
पर नाम तेरा न दिल से मिटा पाएंगे हम
Chah Ke Bhi Kabhi Na Tumko Bhula Payenge Hum
Karte Hain Wada Yeh Nibha Payenge Hum
Khud Ko Fanna Kar Denge Is Jahaan Se Hum
Par Naam Tera Na Dil Se Mita Paayenge Hum…
मुझे मिटटी के घर बनाने का शौक़ था
उसे आशियाने जलाने का शौक़ था
वो बेवफा था इस मैं हैरत की बात क्या थी
मुझे भी बेवफा से दिल लगाने का शौक़ था
Mujhay Mitti Ke Ghar Bananay Ka Shoq Tha
Usay Ashiyaan Jalanay Ka Shoq Tha
Wo Bewafa Tha Is Main Hairat Ki Baat Kya Hai
Mujhay Bhi Bewafa Se Dil Laganay Ka Shoq Tha
दर्द की स्याही से लिखा है यह पैगाम अपना
महफ़िल -ऐ -दौर से कभी गुजरो तो कलाम जरूर कहना
Dard ki sayahi se likha ha yeah paigam apna
mehfil-ae-daur se kahbi gujro to kalam jaroor kehna
तलाक़ दे तो रहे हो ग़ुरूर-ओ-क़हर के साथ
के मेरा शबाब भी लौटा दो मेरे मेहर के साथ
Talaaq De To Rahe Ho Ghuroor-O-Qeher Ke Sath
Ke Mera Shabaab Bhi Lautaa Do Mere Mehar Ke Sath
मेरी हर नज़र तेरी मुंतज़िर , तेरी हर नज़र किसी और की
मेरी ज़िन्दगी तेरी बंदगी , तेरी ज़िन्दगी किसी और की
Meri Har Nazar Teri Muntazir , Teri Har Nazar Kisi Or Ki
Meri Zindagi Teri Bandagi , Teri Zindagi Kisi Or Ki
भुलाने से जो भूले न वो कहानी छोड़ जाऊँगी
तेरी आंखों में पानी की ऐसी नमी छोड़ जाऊँगी
Bhulanay Se Jo Bhule Na Wo Kahani Chor Jaoungi
Teri Ankhoon Mein Pani Ki Aisi Nami Chor Jaoungi