न सवाल बन कर मिला करो , न जवाब बन कर मिला करो ,
मेरी ज़िन्दगी मेरा ख्वाब हैं , मुझे ख्वाब बन कर मिला करो ,
Na sawaal ban kar mila karo, na jawab ban kar mila karo,
Meri zindagi mera khwab hain, mujhe khwab ban kar mila karo,
हमें अब खो कर कहते हो मुझे तुम याद आते हो ,
किसी का हो के कहते हो मुझे तुम याद आते हो
न पूछ तू उस की बदनसीबी का आलम ,
के सब कुछ खो के कहते हो मुझे तुम याद आते हो
Humain ab kho kar kehto ho mujhe tum yaad atey ho,
Kissi ka ho ke kehto ho mujhe tum yaad atey ho
Na pooch tu us ki badnaseebi ka aalam,
Ke sab kuch kho ke kehta hai mujhe tum yaad atey..
मालूम होता है भूल गए हो शयद
या फिर कमाल का सबर रखते हो
हम जिस से ज़िंदा हैं वो तमना तुम्ही हो
हम जिस में बस रहे हैं वो दुनिया तुम्ही हो
Maloom hota hai bhul gye ho shyad.
Ya phir kamal ka sabar rakhte ho.
Ham jis say zinda hain woh tamana tumhi ho.
Hum jis mein bus rahein hain wo dunia tumhi ho…
ग़म की बारिश ने भी तेरे नक़्श को धोया नहीं
तुम ने मुझे खो दिया मेंने तुझे खोया नहीं
नींद का हल्का गुलाबी सा खुमार था उस की आँखों में
यूं लगा जैसे वो शख्स देर तक सोया नहीं
जानता हूँ एक ऐसे शख्स को में भी मुनीर
ग़म से पत्थर हो गया मगर कभी रोया नहीं
Gham ki barish ney bhi tere naqsh ko dhoya nhi
Tumne mujay kho diya mein ne tujay khoya nhi
Neend ka hlka gulaabi sa khumar tha us ki aankhon mein
Yoon laga jaisay woh shaksh dair tak soya nhi
Janta hon aik aisay shakhs ko mein bhi muneer
Gham se pathar ho gaya magr kabi roya nhi