हम तेरे हिजर में अंदर से बिखर जाते हैं
ज़िंदा लगते हैं मगर असल में मर जाते हैं
जब कभी बोलता है हँस के किसी और से तू
कितने खंज़र मेरे सीने में उतर जाते हैं
Hum Tere Hijar Mein Andar Se Bikhar Jaate Hain
Zindah Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jaate Hain
Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se TU
Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jaate Hain..
बहुत दिन हो गए शायद सहारा कर लिया उस ने
हमारे बाद भी आखिर गुज़ारा कर लिया उस ने
हमारा जिकर तो उस के लबों पर आ नहीं सकता
हमें एहसास है हम से किनारा कर लिया उस ने
वो बस्ती ग़ैर की बस्ती वो कूचा ग़ैर का कूचा
सुना है इश्क़ भी अब तो दोबारा कर लिया उस ने
सुना है ग़ैर की बाँहों को वो अपना घर समझता है
लगता है मेरा यह दुःख गवारा कर लिया उस ने
भुला कर प्यार की कसमें वो वादे तोड़ कर “वासी ”
किसी को ज़िन्दगी से भी प्यारा कर लिया उस ने
Bahut Din Ho Gaye Shayad Sahara Kar Liya Us Ne
Hamare Baad Bhi Akhir Guzara Kar Liya Us Ne
Hamara Zikar To Us Ke Labon Par aa Nahin Sakta
hamein Ehsas Hai Hum Se Kinara Kar Liya Us Ne
Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Koocha Ghair Ka Koocha
Suna Hai Ishq Bhi Ab To Dobara Kar Liya Us Ne
Suna Hai Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna Ghar Samajhta Hai
Lagta Hai Mera Yeh Dukh Gawara Kar Liya Us Ne
Bhula Kar Pyar Ki kasmein Wo vade Todh Kar “Wasi”
Kisi Ko Zindagi Se bhi Pyara Kar Liya Us Ne..
अजीब हिजर परस्ती थी उस की फितरत में
सहजर के टूटे पते तलाश करता था .
तमाम रात वो पर्दै हटा के चाँद के साथ ,
जो खो गए था वो लम्हे तलाश करता था .
दुआएं करता था उजड़े हुए मज़ारों पर
बड़े अजीब सहारे तलाश करता था
मुझे तो आज बताया है बादलों ने “वासी”
वो लौटने के रस्ते तलाश करता था .
ajeeb hijar parasti thi us ki fitrat mein
shajar ke tootte patty talash karta tha.
tamam raat wo pardy hata k chand k sath,
jo kho gaye thy wo lamhy talash karta tha.
duayein karta tha ujdhe huye mazaron par
badhe ajeb sahare talash karta tha.
mujhe to aj bataya hai badlon ne “wasi”
wo laut ne ke raste talash karta tha…
मुझे किनारे की कब तमना थी
तुझे है दरिया के पर जाना
बिफरते दरिया की सुर्ख मौजे बता रही हैं ,
खिराज मांगेगा तुझ से दरिया
जो मेरी मानो तो ऐसा कर लो
मुझे शरीक -ऐ -सफर बना लो
खिराज मांगे जो तुझ से दरिया
मुझे भंवर में उतर जाना
Mujhe Kinaare Ki Kab Tamana thi,
Tujhe Hai Darya Ke Par Jaana,
Bipharte Darya Ki Surkh Mauhjein Bata Rahi Hain,
Khiraj Maangay Ga Tujh Say Darya
Jo Meri Maano To Aisa Kar Lo,
Mujhay Shareek-ae-safar Bana Lo,
Khiraaj Mangay Jo Tujh Say Darya
Mujhay Bhanwar Mein Utaar Jaana.