Mujh se kinara kar ke, kuch pal toh us ne, apni ankhon ko dhoya hoga,
Baith ke kisi kone me sar-e-shaam kuch aansu toh wo roya hoga,
Peshemaan toh wo bahut hua hoga apni he berukhi se,
Khwaab me na sahi, neend se pehle meri yaad ke baad hi wo soya hoga,
Ahbab ke qarb me maine yahi aik baat seekhi hai,
Us ne bhi kisi tareeqi ke kone main apne aansu ko peeroya hoga,
Mera dil nhi dukha par main hazaar aansu roya,
Meri manind na sahi, par fursat me qaraar toh wo khoya hoga,
Mere dard-e-dil ko koi samjtaa, toh phir kisi ko gila na rehta harf.e.muhabbat se,
Use kya maloom, maine kis kis samandar main khud ko dooboya hoga,
Main apne fan-e-naqsh-e-nigari ke charche kyun karon, kyun sunaau main apne afsaany sb ko,
Mujhe maloom hai wo kisi aur ka ho ke bhi mere he khayalon main khoya hoga.
– Vicky Khokhar