Dosti/Friendship Shayari – Kabhi teri meri mulaqat ho

Kabhi teri meri mulaqat ho,
Na tootne wala sath ho,
Tere sath zindagi guzre,
Musarton bhari hyat ho…

– M. Asghar Mirpuri

कभी तेरी मेरी मुलाक़ात हो,
ना टूटने वाला साथ हो,
तेरे साथ ज़िंदगी गुज़रे,
मूसरतों भारी हयात हो…

– म. असग़र मीरपुरी…

Dosti/Friendship Shayari – Kabhi teri meri mulaqat ho Read More

Bewafa Shayari – Usey pyar kab meri zaat se tha

Usey pyar kab meri zaat se tha

Usey pyar kab meri zaat se tha
Usey to matlab apni baat se tha
Aaj wo bhi gumnaam hai zamaane mein
Jo mashahoor meri chahat se tha
Wo bhi maukaparast tha auron ki tarah
Yeh to zahir uski har baat se tha
Suna hai us ne kisi se wafa nahi ki
Wo khelta har kisi ke jazbat se tha
Bahut choti thi sochen uski
Jinka talaq unchi zaat se tha

– M. Asghar Mirpuri

उसे प्यार कब मेरी ज़ात से था
उसे तो मतलब अपनी बात से था
आज वो भी गुमनाम है ज़माने में
जो मशहूर मेरी चाहत से था
वो भी मौक़ापरस्त था औरों की तरह
यह तो ज़ाहिर उसकी हर बात से था
सुना है उस ने किसी से वफ़ा नही की
वो खेलता हर किसी के जज़्बात से था
बहुत छोटी थी सोचें उसकी
जिनका तलक़ उँची ज़ात से था

– म. असग़र मीरपुरी…

Bewafa Shayari – Usey pyar kab meri zaat se tha Read More

Sad Shayari – Chale bhi aao dost ke eid aane waali hai

Chale bhi aao dost ke eid aane waali hai,
tum na aaye to asghar ki jaan jaane waali hai,

Tere milne ki aas pe jiye ja raha hoon yara,
dekhta hoon kismat kya ruang dikhane waali hai,

Yeh haseen mausam kahi beet na jaaye,
chale bhi aao ke yeh rutt badal jaane waali hai,

Muqaddar ne hamesha rulaya kismat ne sada sataya,
na jaane ab taqdeer kya aur sitam dhaane waali hai,

Tera mera pyar sada ke liye amar rahega jaanam,
baaki iss qayenaat ki har cheez mit jane waali hai…

– M.Asghar Mirpuri

चले भी आओ दोस्त के ईद आने वाली है,
तुम ना आए तो असग़र की जान जाने वाली है,

तेरे मिलने की आस पे जिए जा रहा हूँ यारा,
देखता हूँ किस्मत क्या रंग दिखाने वाली है,

यह हसीन मौसम कही बीत ना जाए,
चले भी आओ के यह रुत बदल जाने वाली है,

मुक़द्दर ने हमेशा रुलाया किस्मत ने सदा सताया,
ना जाने अब तक़दीर क्या और सितम ढाने वाली है,

तेरा मेरा प्यार सदा के लिए अमर रहेगा जानम,
बाकी इस क़ायेनात की हर चीज़ मिट जाने वाली है…

– म. असग़र मीरपुरी…

Sad Shayari – Chale bhi aao dost ke eid aane waali hai Read More

Love Shayari – Mera dil jis par fida hai

Mera dil jis par fida hai
Vohi mujh se juda hai

Main ne kab kaha ke tanha hoon
Mere sath mera khuda hai

Main kyon naa usey pyar karun
Wo mere dil ki nida hai

Us se bichad kar yun lagta hai
Jaise yeh jeevan ik saza hai

Wo jahan bhi rahe khush rahe
Asghr ke dil ki yehi dua hai…

– M. Asghar Mirpuri

मेरा दिल जिस पर फिदा है
वोही मुझ से जुड़ा है

मैं ने कब कहा के तन्हा हूँ
मेरे साथ मेरा खुदा है

मैं क्यों ना उसे प्यार करूँ
वो मेरे दिल की निदा है

उस से बिछड़ कर यूँ लगता है
जैसे यह जीवन इक सज़ा है

वो जहाँ भी रहे खुश रहे
असग़र के दिल की यही दुआ है…

– म. असग़र मीरपुरी…

Love Shayari – Mera dil jis par fida hai Read More

Urdu Shayari – Aik Muddat Se Rahi Hai Yeh Aarzoo Meri

Urdu Shayari – Aik Muddat Se Rahi Hai Yeh Aarzoo Meri

Aik Muddat Se Rahi Hai Yeh Aarzoo Meri
Ke Kab Tujh Se Ho Gi Guftgoo Meri

Aaj Duniya Humein Milne Nahi Deti
Aik Din Mohabbat Ho Gi Sarkhroo Meri

Mera Jeena Aur Marna Sab Tere Liye
Saansoon Ki Bhi Mukhtaar Hai Tu Meri

Dil Tere Hi Khyalon Mein Khoya Hai
Rooh Bhatak Rahi Koobakoo Meri

Main Khizaaon Ki Rahon Ka Musafir Hoon
Kabhi Bhool Kar Bhi Na Karna Jastjoo Meri

– M.Asghar Mirpuri

ऐक मुद्दत से रही है यह आरज़ू मेरी
के कब तुझ से हो गी गुफ्तगू मेरी

आज दुनिया हूमें मिलने नही देती
ऐक दिन मोहब्बत हो गी सरखरू मेरी

मेरा जीना और मारना सब तेरे लिए
साँसून की भी मुख़्तार है तू मेरी

दिल तेरे ही ख्यालों में खोया है
रूह भटक रही कूबकू मेरी

मैं खिज़ाओं की राहों का मुसाफिर हूँ
कभी भूल कर भी ना करना जस्तजू मेरी

– म.अस्घर मीरपुरी…

Urdu Shayari – Aik Muddat Se Rahi Hai Yeh Aarzoo Meri Read More

Urdu Shayari – Agar Tujhey Nafrat Mere Naam Se Hai

Urdu Shayari – Agar Tujhey Nafrat Mere Naam Se Hai

shayarisms4lovers.in- New Hindi Shayari on Love, Sad, Funny, Friendship, Bewafai, Dard, GoodMorning, GoodNight, Judai, Whatsapp Status in Hindi

Agar Tujhey Nafrat Mere Naam Se Hai
Phir Kyon Mohabbat Mere Klaam Se Hai

Jis Ka Mashgla Tha Auron Ko Dukh Dena
Aaj Wo Udas Ghamon Ki Shaam Se Hai

Mohabbat Mein Kisi Tafreeq Ke Hum Nahi Qaabil
Humein To Mohabat Khaas-O-Aam Se Hai

Jis Ki Deed Ko Aankhein Tarash Rahi Hain
Usey Na Fursat Apne Kaam Se Hai

Hum Ne Mohabbat Ka Agaaz To Kar Diya Asghar
Hume Na Koi Garaz Anjaam Se Hai

– M.Asghar Mirpuri

अगर तुझे नफ़रत मेरे नाम से है
फिर क्यों मोहब्बत मेरे क्लां से है

जिस का मशगला था औरों को दुख देना
आज वो उदास घामों की शाम से है

मोहब्बत में किसी तफ़्रीक़ के हम नही क़ाबिल
हूमें तो मोहबत ख़ास-ओ-आम से है

जिस की डीड को आँखें तराश रही हैं
उसे ना फ़ुर्सत अपने काम से है

हम ने मोहब्बत का आगाज़ तो कर दिया अस्घर
ह्यूम ना कोई गाराज़ अंजाम से है

– म.अस्घर मीरपुरी…

Urdu Shayari – Agar Tujhey Nafrat Mere Naam Se Hai Read More

Urdu Shayari – Jab Se Uske Husan Pe Padi Hai Nazar

Urdu Shayari – Jab Se Uske Husan Pe Padi Hai Nazar

Jab Se Uske Husan Pe Padi Hai Nazar
Main Ho Gya Hoon Apni Hasti Se Bekhabar

Meri Duaon Ka Kuch Aisa Hua Hai Asr
Mujhey Mil Gya Hai Mere Khawabon Ka Pekar

Uske Pyar Ne Mujhe Zare Se Aaftab Bana Diya
Main Ban Gya Hoon Qatre Se Samundar

Mere Jism Mein Wo Basi Hai Rooh Ki Tarah
Aisa Ashyana Chhod Kar Wo Jaye Gi Kidhar

Pyar Ki Raahon Mein Sambhal Kar Chalta Hoon
Suna Hai Yeh Raaste Hein Bade Purkhatar

– M.Asghar Mirpuri

जब से उसके हुसान पे पड़ी है नज़र
मैं हो गया हूँ अपनी हस्ती से बेख़बर

मेरी दुआओं का कुछ ऐसा हुआ है अस्र
मुझे मिल गया है मेरे खवाबों का पेकर

उसके प्यार ने मुझे ज़रे से आफताब बना दिया
मैं बन गया हूँ क़तरे से समुंदर

मेरे जिस्म में वो बसी है रूह की तरह
ऐसा अश्यना छ्चोड़ कर वो जाए गी किधर

प्यार की राहों में संभाल कर चलता हूँ
सुना है यह रास्ते हाइन बड़े पुरखतर

– म.अस्घर मीरपुरी…

Urdu Shayari – Jab Se Uske Husan Pe Padi Hai Nazar Read More

Life shayari – Pardes mein zindagi

Pardes mein zindagi kaise basar hoti hai,
Iss baat ki musafir ko hi khabar hoti hai,

Jab hum ek doosre se mil nahi sakte,
Jo haalat idhr hoti hai wohi udhr hoti hai,

Main har pal apni mohabbat ka izahar nahi karta,
Bar-bar kahi jaane waali baat ki na qadar hoti hai,

Kaun pyara humein duaon mein yaad rakhta hai,
Hichki aate hi iss baat ki khabar hoti hai,

Do waqat ki roti se zyada ka lalach nahi karte,
Thode mein bhi apni acchi basar hoti hai…

– M. Asghar Mirpuri

परदेस में ज़िन्दगी कैसे बसर होती है,
इस बात की मुसाफिर को ही खबर होती है,

जब हम एक दुसरे से मिल नहीं सकते,
जो हालात इधर होती है वही उधर होती है,

मैं हर पल अपनी मोहब्बत का इज़हार नहीं करता,
बार-बार कही जाने वाली बात की ना क़दर होती है,

कौन प्यारा हमें दुआओं में याद रखता है,
हिचकी आते ही इस बात की खबर होती है,

दो वक़्त की रोटी से ज़्यादा का लालच नहीं करते,
थोड़े में भी अपनी अच्छी बसर होती है…

– म. असग़र मीरपुरी

Life shayari – Pardes mein zindagi Read More

Sad Shayari – Yahan udaas hain hum

Sad Shayari – Yahan udaas hain hum

Yahan udaas hain hum,
Wahan khush ho tum,

Tumhare labon pe hansi,
Hamaari ankhen hain nam,

Tumaari kismat mein khushi,
Hamare muqaddar mein ghum,

Tumhaare sath sara zamana,
Hamare sath ranj-o-aalm,

Tumaare paas har nehamat,
Hamare daman mein pech-o-kham…

– M. Asghar Mirpuri

यहाँ उदास हैं हम,
वहाँ खुश हो तुम,

तुम्हारे लबों पे हँसी,
हमारी आँखें हैं नम,

तुम्हारी किस्मत में खुशी,
हमारे मुक़द्दर में ग़म,

तुम्हारे साथ सारा ज़माना,
हमारे साथ रंज-ओ-आलम,

तुम्हारे पास हर नेहमत,
हमारे दामन में पेच-ओ-ख़म…

– म. असग़र मीरपुरी…

Sad Shayari – Yahan udaas hain hum Read More

Sad Shayari – Mere dil mein jis shakhs ka qyaam hai

Mere dil mein jis shakhs ka qyaam hai dosto,
Meri nazar mein uska bahut uncha maqaam hai dosto,

Humaari mohabbat ki duniya ko khabar hone lagi hai,
Aajkal humaare pyar ka charcha aam hai dosto,

Khuda kare usey meri bhi sabhi khushiyan mil jayein,
Mere sath uske gham ki shaam hai dosto,

Ab to kisi se baat karna accha nahi lagta,
Din raat honthon pe usi ka naam hai dosto,

Asghr ko gham dene waley tu sadaa khush rah,
Uske liye mera yehi aakhri paigham hai dosto…

– M.Asghar Mirpuri

मेरे दिल में जिस शख्स का क़याम है दोस्तो,
मेरी नज़र में उसका बहुत उँचा मक़ाम है दोस्तो,

हमारी मोहब्बत की दुनिया को खबर होने लगी है,
आजकल हुमारे प्यार का चर्चा आम है दोस्तो,

खुदा करे उसे मेरी भी सभी खुशियाँ मिल जायें,
मेरे साथ उसके ग़म की शाम है दोस्तो,

अब तो किसी से बात करना अच्छा नही लगता,
दिन रात होंठों पे उसी का नाम है दोस्तो,

असगर को ग़म देने वाले तू सदा खुश रह,
उसके लिए मेरा यही आखरी पैग़ाम है दोस्तो…

– म. असग़र मीरपुरी…

Sad Shayari – Mere dil mein jis shakhs ka qyaam hai Read More