Teri Yaad Shayari
Din gujar jata hai apko soch soch kar,
Aati hai sham din gujar jaane ke baad,
Kat ti nahin sham ki tanhaiyaan,
Jaati nahi teri yaad tere jaane ke baad.
Shaam hote hi yeh dil udas hota hain,
Sapno ke siva kuchh na pass hota hai,
Aap ko bahut yaad karte hain hum,
Yado ka har lmha mere liye khas hota hai.
Bazaron ki chahal pahal se roshan hai
In aankhon mein mandir jaisi sham kahan,
Main usko pahchan nahi paya toh kya
Yaad use bhi aaya mera naam kahan,
Din bhar suraj kiska pichha karta hai
Roj pahadi par jati hai sham kahan,
Logo ko suraj ka dhoka hota hai
Aansu bankar chamka mera naam kahan,
Dalano ki dhoop chhaton ki sham kahan
Ghar ke bahar ghar jaisa aaram kahan.
Aaya hi nahi humko aahista guzrana
Sishe ka mukkadar hai takra ke gujar jana,
Taron ki tarah shab ke seene mein utar jana
Aahat na ho kadmon ki is tarah gujar jana,
Nashe mein sambhlane ki ada yun hi nahi aaya
In julfo se sikha hai lahra ke sanvar jana,
Bhar jayenge aankho mein aanchal se bhare badal
Yaad aayega jab gul par shabnam ka bikhar jana,
Har mod par do aankhe humse yahi kahti hain
Jisa taraf bhi mumkin ho tum lout kar ghar jana.
Mujhe bhulaye kabhi yaad karke roye bhi,
Woh apne aap ko bikhraye aur piroye bhi,
Shumar hum na huye un chamkne walon mein
Badan bhi malte rahe roj kapde dhoye bhi,
Bahut gubar bhara tha dilon mein dono ke
Magar woh ek hi bistar par raat siye bhi.
Sukr Hai Khariyat Se Hun Sahab,
Aapse Aur Kya Kahu Sahab,
Ab Samjhne Laga Hu Labh Hani,
Ab Kahan Woh Mujh Mein Junun Sahab,
Hum Tumhe Yaad Karte Ro Lete,
Do Khadi Milta Jo Sukun Sahab,
Sham Bhi Dhal Rahi Hai Ghar Bhi Door Hai,
Kitni Der Aur Main Ruku Sahab,
Ab Jhukunga Toh Toot Jaaunga,
Kaise Ab Aur Main Jhuku Sahab.
Yeh Mujhse Puchhate Hain Doctor Kyu,
Ki Tu Zinda To Hai Ab Tak, Magar Kyu,
Jo Rasta Chhod Ke Main Ja Raha Hun,
Usi Raste Par Jati Hai Najar Kyu,
Sunayenge Kabhi Fursat Mein Tumko,
Ki Hum Barson Rahe Hai Darbadar Kyu,
Yahan bhi sab hai begana hi mujhse
Kahun Main Kya Ki Yaad Aaya Hai Ghar Kyu,
Main Khus Rahta Gar Samjha Na Hota,
Ye Duniya Hai To Main Deedavar Kyu.
Fir …