Gham hotein hain jahaan zannat hoti hai,
Duniya mein har shay ki keemat hoti hai,
Aksar vo kehte hain voh bas mere hain,
Aksar kyun kehte hain hairat hoti hai,
Tab hum dono waqt chura kar laate the,
Ab milte hain jab bhi fursat hoti hai,
Apni mehbooba mein apni maa dekhein,
Bin maa ke ladkon ki fitrat hoti hai,
Ik kashti mein ek kadam hi rakhtein hain,
Kuch logon ki aisi aadat hoti hai…
– Javed Akhtar
ग़म होतें हैं जहाँ ज़न्नत होती है,
दुनिया में हर शे की कीमत होती है,
अक्सर वो कहते हैं वो बस मेरे हैं,
अक्सर क्यूँ कहते हैं हैरत होती है,
तब हम दोनो वक़्त चुरा कर लाते थे,
अब मिलते हैं जब भी फ़ुर्सत होती है,
अपनी महबूबा में अपनी माँ देखें,
बिन माँ के लड़कों की फ़ितरत होती है,
इक कश्ती में एक कदम ही रखतें हैं,
कुछ लोगों की ऐसी आदत होती है…
– जावेद अख़्तर