Lakh kosisi karte hai,
Khud ko kuch is tarha bhigane ki
Badan se bhete pani ke sath
Mere rom rom se judi teri yaadon ko bahane ki.
Apne aansuo ko chipana hota hai,
Bas isliye barsaat me khud ko bhigana hota hai.
Ye barish mujh par jurm dha rahi hai,
Meri aankhon ko rula rahi hai,
Jo kabhi bhigta tha sath mere barish me
Aaj usse kisi ko ke sath bhigta dikha rahi hai.
Muqabla aaj joro se hai,
Ek tarf mere aansu
Dusri tarf baraste badalo ki or se hai.
Bhig lete hai barsaat me aansu chhupane ke liye,
Muskurate bhi hai to bas logo ko dikhane ke liye.
Barsaat me khud ko bhiga leti hun,
Jee bhar ke aansu bha leti hun,
Koi dekh na le mere dil ka dard
Bas isliye aansuo ko apne barsaat se chipa leti hun.
Aaj bhi hum bin chhataree ke,
chale jate hai barish me…
Kyoki aankhen kitni bhi roye
Par aansu chhup jate hai barish me.
Baras rahe hai badal,
Baras meri aankhen bhi rahi hai,
Jo chhod gaya tanha mujh ko
Yaad me uski tars aaj bhi rahi hai.